Sunday 10 April 2016

Youtube Se Video Kaise Download Kare

Youtube Video dekhane ka ek bahut bada plateform hai, jis par lakho ki taadaat me daily video upload hote hai aur dekhe jate hai.
Hame koi project banana ho ya phir entertainment karana ho hum turant hee youtube par video ko search karte hai aur apni manpasand video ka aanand lete hai.

lekin problem tab increase ho jati hai jab hame video ko baar baar dekhana hota
hai aur hamare paas baar baar dekhane ke liye paryapt data nahi hota,
tb hum video ko ek baar download karte hai aur chahe jitani baar dekh sakate hai

Lekin ek aur samsya jo hamare samne aati hai o ki hum kaise youtube se video ko download kare??
kya kisi software ya application ka upyog kare?
To mai kahunga nhi aur
Aaj mai aap ko bataunga "How to Download video directly from youtube without using any software or application in hindi".

Kuch simple se step hai jinko follow kar ke aap video ko download kar sakate hai.

1. Sabse pahale aap ko jo video download karana hai usaka naam likhe aur end me from youtube likh kar kisi bhi search engine jaise Google,Yahoo etc. me search kare.

2. Ab aap uss video ki properties me jakar usake link address ko copy kar le.

3. Aap ka copy kiya hua link kuch iss tarah ka hoge
https://www.youtube.com/watch.........
ab apko sirf itana change karana hai ki
YouTube se pahle "ss" likh dena hai.
Matlab ab aap ka link address kuch iss tarah dikhega

https://www.ssyoutube. com/watch.......


4.Ab iss naye link address ko search kare aur apne manpasand resolution ko  select karke download kare.

To aap ko youtube se video download karane ka ye nayab tarika kaisa laga comment kar ke jarur bataye.
Dhanyawad☺

3 comments:

Comment Karane Ke Liye Dhanyawaad.
Mere approve karane me baad aap ko yah comment dikhega.